Kbhi Snow fall dekhne ka mouka mila hoga, to ankhen bnd kr k vo njara yad to ata hoga. Us time mai ak teenager thi, december ka month tha. Humne kuch din Shimla apne ek relative k pas bitaye , burf k bare me jyada socha ne tha k pdi hogi ya nahi. Burf to nhi pdi pr hmare ghr lotne ka time ho gya. Mujhe yad h hmne dopeher bad bus le thi. Main or meri cousin Di hm dono hi they. Bus 15-20 km chli hogi or kuch khrabi se bus vhi ruk gyi. dusri bus lene ka to koi option nhi tha. To hmne bus k thik hone tk ka wait krne ka decide kiya ..Dekhty dekhty 1 ghnte se jada tym beet gya. Sham k 5-6 bje k bich ka time ho gya, din dhlne lga tha. Maine Di ko bola, dekhti hun ye log bus thik b kr rhe h ya nhi. Bus ki khidki kholi , muh bahr nikala .To dekhti hun………

Asman se choti choti cotton balls si gir rhi thi. Ek se dedh minute vhin stuck ho gyi , aisa lga jaise gehri need me hun. Dimag kuch soch hi nhi pa ra tha.

Itne me Di boli arey snow fall start ho gya. Fir smjh me aya k aisa hota h snow fall.. vrna hmari side to jb barish pdti h to kyin bar bde bde oley pd jaty h, to mai use hi burf sochti thi.

Dheere dheere bus k sare passanger utr gye or apne apne rasty jane lge. Hme na dr lg ra tha no koi second plan tha dimag me. Ek dedh ghnta or bus me wait kia , to conductor bolta Shimla me jam lg gya h to mechanic nhi aa payega Or bus b subh tk nhi chl payegi. Fir bus k last passenger k sath hm b bus se utr gye.

Bahr andhera ho gya tha or Burf k sath Hlki hlki barish lgi thi to sadak pr kichad bhi khada ho gya tha. Sadak per jam ki vjh se gadiyon ki lmbi line lgi thi , jinki vjh se hm apna rasta dekh pa re they.

Kapdo pr pdi hui burf se abi bhi bura nhi lg rha tha, balki itni khusi mil rhi thi k mano flower ki jgh koi burf se hmara swagat kr ra ho. To bina kuch jada soche bus chl re thy seedhi sadak me. Man me ak josh sa tha ek hope thi k agey chlenge to kuch mil jayega. Abi sochti hun k us time dr kyun nhi lg ra tha , vo himat khan se ayi thi. ………..Han vo first snow fall experience hi tha jisne ak positivity or nya josh mere me bhar dia tha ..

[Aagey ki kahani aur bhi Interesting Hai…..]

Leave a Reply